Dil jala ke muskurane ki jo aadat hui hai mujhe
Lag raha hai qayde se ab mohabbat hui hai mujhe
Dil jala ke muskurane ki jo aadat hui hai mujhe
Lag raha hai qayde se ab mohabbat hui hai mujhe
Meri tumhi se hai jawabdari, naraazgi bhi dher saari
Tumhein harane ki zid mein, ye zindagi tumhee se haari
Agar kabhi tumhein rulaya, kah mujhe bhi chain aaya
Asal men dil nahi tumhara, khud hee ka dukhaya
Kya batau dard leke, kitni raahat hui hai mujhe
Lag raha hai qayde se ab mohabbat hui hai mujhe
Thikana jaha tumhara, wahi ghar hai mera (Aah)
Hai kaandha jaha tumhara, wahi sar hai mera (Aah)
Dono chale to hai kasam dilake, chalenge to kadam milake
Yaha talak pahuche bhi hai yakeen mein bharam milake
Qarar ki tumhee wajah ho, kabhi lage tumhee saza ho
Tumhee se hai takleefe bhi, tumhee to maza ho
Pehle se bhi aur pyaari, ab ye halat hui hai mujhe
Lag raha hai qayde se ab mohabbat hui hai mujhe
Dil jala ke muskurane ki jo aadat hui hai mujhe
Lag raha hai qayde se ab mohabbat hui hai mujhe