menu-iconlogo
logo

Jaaniya

logo
Testi
Dil sunta hai, teri sadaa

Aa rubaru, ab toh zara

Bechain si meri zindagi

Sunn kar teri, yeh dastaan

Jeena mera aasaan kar

Tu mil ke yeh ehsaan kar

Kahin kho gaya chain o sukoon

Tere dard ko ab jaan kar

Jaaniya o jaaniya

Bas roye dil mera

Aasu palkon pe

Nahin hai bewajah

Dil hai ghamzada jaaniya

Tujhe paa liya ya kho diya

Iss baat par, dil ro diya

Ke chaah kar, tu naa aa sake

Tu waqt hai, guzara hua

Tujhe rakh liya, inn yaadon ne

Ik phool sa, kitaabon mein

Iss dil mein tu, rahega sada

Aur mehakega, inn saanson mein

Raaton mein tu jal jaata hai

Chehre mein tu dhal jaata hai

Taara hai tu mujh mein toota sa

Neendhon se jaga deta hai

Palkon ko bhigo deta hai

Dariya hai tu mujh mein dooba sa

Har waqt khwaabon ki tarah tu aata raha

Jaaniya o jaaniya, din kya raat kya

Aahat ho koi, lagta hai sadaa

KI tu hai wahaAn jaaniya

Jaaniya o jaaniya

Bas roye dil mera

Aaansu palkon pe nahin hai bewajah

Jaaniya di Chirantan Bhatt - Testi e Cover