hey yeh bambai shaher
haadson ka shaher hai
yeh bambai shaher
haadson ka shaher hai
yahaan zindagi
haadson ka safar hai
yahaan roz roz har mod mod pe
hota hai koi na koi
haadsaa
haadsaa
haadsaa
haadsaa
yahaan ki khushi aur ghum hai anokhe
bade khubsoorat se hote hai dhoke
bahot tej raftaar hai zindagi ki
hai fursat kise koi itna bhi soche
khushi haadsaa hai ghum haadsaa hai
haqeeqat bhula kar har ik bhagtaa hai
yahaan roz roz ki bhaag daud mein
hota hai koi na koi
haadsaa
haadsaa
haadsaa
haadsaa
yahaan aadmi aasman chumten hain
nashe mein tarakki ke sab jhoomte hain
hari roshni dekh bhaagi wo caaren
achaanak ruki phir se ban ke qataarein
yahaan ke parindon ki parwaaz dekho
haseenon ke chalne ka andaaz dekho
yahaan husn ishq ki aabo hawaa mein
hota hai koi na koi
haadsaa
haadsaa
pyaar ka haadsaa
yeh bambai shaher
haadson ka shaher hai
yahaan zindagi
haadson ka safar hai
yahaan roz roz har mod mod pe
hota hai koi na koi
haadsaa
haadsaa
haadsaa
haadsaa