Uljhi hui ye doriyaan
Uljhi hui ye doriyaan sulajhaa le
Dil kii tu sune agar
Dil sachcha hai dilavaale
Raahen nahin aisi to kahin
Jahaan kahin koi mode nahin
Kahata hai ye dil ab jane bhi de
Toote shishon ko tu jod nahin
Rahon main do raahen aate hai sau baar
Kadam kadam iqaraar hai
Kadam kadam inkaar
Phir bhi ye zindagi
Pal bhar ko bhi kabhi ruukti hi nahin
Lehren ye vaqt kii
Pal bhar ko bhi kabhi ruukti nahin
Tanhaiyaan hai ghul si gayi sanson main
O kya karen
Mana kahin koi bhi nahin
Jise mila kabhi gam naa ho
Par hamako to wo gam hai jo
Ek pal ko bhi kam naa ho
Hamane jo baazi kheli jeet nahin paye
Ab wo tanhai hai jo biit nahin paye
Phir bhi ye zindagi
Pal bhar ko bhi kabhi ruukti hi nahin
Lehren ye vaqt kii
Pal bhar ko bhi kabhi ruukti nahin
Tanhaiyaan tanhaiyaan
Hai ghul si gayi sanson main
O kya karen
Angadaai leti hai phir se umiden
Palkon pe chhaae jo sapane
Jaag uthte hai phir jaise dil main
Armaan jo soye the apane
Janaa hai kis raste
Ye bhi naa tu jane
Kyon hai dil diwane
Phir bhi ye zindagi
Pal bhar ko bhi kabhi ruukti hi nahin
Lehren ye vaqt kii
Pal bhar ko bhi kabhi ruukti nahin
Tanhaiyaan hai ghul si gayi sanson main
O kya karen
Ho uljhi hui ye doriyaan
Uljhi hui ye doriyaan sulajhaa le
Dil kii tu sune agar
Dil sachcha hai dilavaale