Batao yaad hai tumko
Woh jab dil ko churaya tha
Churayi cheez ko tumne
Khuda ka ghar banaya tha
Woh jab kehte the mera
Naam tum tasbeeh mein padhte ho
Mohabbat ki namazo ko
Qaza karne se darte ho
Magar ab yaad aata hai
Woh baatein thi mehez baatein
Kahin baaton hi baaton mein
Mukarna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka
Utarna bhi zaroori tha
Wahin hai sooratein apni
Wahin main hoon wahin tum ho
Magar khoya huya hoon main
Magar tum bhi kahin gum ho
Mohabbat mein daga ki thi
So kaafir the so kaafir hain
Mili hai manzilein phir bhi
Musaafir the musaafir hain
Tere dil ke nikaale hum
Kahaan bhatke kahaan pahunche
Magar bhatke toh yaad aaya
Bhatakna bhi zaroori tha
Mohabbat bhi zaroori thi
Bichadna bhi zaroori tha