HUMNAVA MERE LYRICS :
“Barson ho gaye bichde
Ab sath nahi ho tum
Phir aisa kyon lagta hai
Jahan main hu wahin ho tum
Kya karun main apni ungliyon ka
Kisi ki bhi tasveer banaun
Tumhari ban jaati hai
Yeh sirf mera paagalpan hai
Ya tum bhi mere liye paagal thi”
Kal raaste mein
Gham mil gaya tha
Lag ke gale main ro diya
Jo sirf mera tha, sirf mera
Maine usse kyon kho diya
Haan woh aakhein jinhe main
Choomta tha bewajah
Pyar mere liye kyon
Unmein baaki na raha
Humnava mere tu hai to
Meri saasein chale
Bata de kaise main
Jiyunga tere bina
Oh, Humnava mere tu hai to
Meri saasein chale
Bata de kaise main
Jiyunga tere bina