zindagi ke safar mein
guzar jate hain jo makaam,
woh phir nahin aate,
woh phir nahin aate!
zindagi ke safar mein,
guzar jate hain jo makaam,
woh phir nahin aate,
woh phir nahin aate.
phool khilte hain,
log milte hain.
phool khilte hain,
log milte hain magar,
patjhad main jo phool
murjha jate hain
woh baharon ke aane se khilte nahin,
kuchh log ek roz jo bichad jate hain
woh hazaron ke aane se milte nahin
umr bhar chahe koi pukara kare unka naam
woh phir nahin aate,
woh phir nahin aate.
aankh dhoka hai
kya bharosa hai
aankh dhoka hai
kya bharosa hai suno
doston shaq dosti ka dushman hai,
apne dil me ise ghar banane na do
kal tadapna pade yaad me Jin ki,
rok lo roothkar unko jaane na do,
baad me pyaar ke chahe
bhejo hazaron salaam
woh phir nahi aate,
woh phir nahi aate.
aaj apko koi apna bahot yaad
aa raha hai naa
subah aati hai
raat jaati hai
subah aati hai
raat jaati hai yun hi
waqt chalta hi rehta hai rukta nahi,
ek pal me ye aage nikal jaata hai
aadmi theek se dekh paata nahin
aur parde pe manzar badal jaata hai,
ek baar chale jaate hai jo
din raat subah shaam ..
woh.woh phir nahi aate,
woh phir nahi aate!
zindagi ke safar mein,
guzar jate hain jo makaam
woh phir nahin aate,
woh phir nahin aate!