sahib nazar rakhna, maula nazar rakhna 
sahib nazar rakhna, maula nazar rakhna 
tera karam sabko mile, sabki fikar rakhna 
sahib nazar rakhna, maula nazar rakhna 
na aadami ki aadami jhele gulamiyan 
na admi se admi mange salamiyan 
jo fark paida ho rahe woh fark gark ho 
sabko barabar bant ye dharti ye asman 
koi bhi na ho dard mein, sabki khabar rakhna 
sahib nazar rakhna, maula nazar rakhna 
sahib nazar rakhna, maula nazar rakhna 
sab sar utha ke chal sake, sabko ye bal mile 
koi kisi awaz ko, data kuchal na de 
yahan kam bhi sabko mile, aaram bhi sabko 
mehnat kare jo admi, mehnat ka phal mile 
har bol pe, har bat pe, apna asar rakhna 
sahib nazar rakhna, maula nazar rakhna 
sahib nazar rakhna, maula nazar rakhna 
maula 
maula 
maula