Shohratein toh nahin hain mili
Na raees hoon main bada
Jeb mein hai nahin kuch, magar
Paas hai jo, woh sun le zara
Tere iss dil ko churane ke liye
Hai yahi ek dhun
Sanam ko apna banane ke liye
Hai yahi ek dhun
Hai yahi ek dhun
Jab bhi barsaat aaye, palkon mein dhaank lunga
Na kami koi khalegi, tujhe itna pyaar dunga
Chaand-taare le aaun, hai yeh toh mumkin nahin
Par waada hai yeh, qasam se, tere saath main rahunga
Tere saath main rahunga
Hmm, yeh main daawa nahin kar raha
Koi tajmahal hai mera
Naam ki chand deewarein hain
Jinko hi "ghar" main kehta raha
Tere iss ghar ko sajane ke liye
Hai yahi ek dhun
Sanam ko apna banane ke liye
Hai yahi ek dhun
Hai yahi ek dhun
Ek dhun
Ek dhun
Tere iss dil ko churane ke liye
Hai yahi ek dhun