menu-iconlogo
logo

Mujhko Peena Hain

logo
Testi
Mujhko peena hai peene do

Mujhko jeena hai jeene do

Mujhko peena hai peene do

Mujhko jeena hai jeene do

Tum amir ho khushnaseeb ho

Main gareeb hoon badnaseeb hoon

Pee pee ke zakhm apne seene do

Mujhko peena hai peene do

Mujhko jeena hai jeene do

Agar zara thake ho to suno

Khushi mein aap thoda gum bharo

Lagaayo ghoont tum bhi

Pyaar se meri tarah peeyo aur jiyo

Lagaayo ghoont tum bhi pyaar se

Meri tarah peeyo aur jiyo

Toote jaam dekh na sake

Dil ko toota kya dekhate

Tum amir ho khushnaseeb ho

Main gareeb hoon badnaseeb hoon

Pee pee ke zakhm apne seene do

Mujhko peena hai peene do

Mujhko jeena hai jeene do

Tum peeyo to gangajal hai ye

Hum agar peeye to hai sharaab

Paani jaisa hai hamaara khoon

Aur tumhaara khoon hai gulaab

Paani jaisa hai hamaara khoon

Aur tumhaara khoon hai gulaab

Sab khayaal sab fareb hai

Apani subah na shaam hai

Tum amir ho khushnaseeb ho

Main gareeb hoon badnaseeb hoon

Pee pee ke zakhm apane seene do

Mujhko peena hai peene do

Mujhko jeena hai jeene do

Kisi ki yaar parva kyon karu

Kisi se yaar main kyon daru

Is duniya ne mujhko kya diya

Main iski uski fikrr kyon karu

Is duniya ne mujhko kya diya

Main iski uski fikrr kyon karu

Ye bhala hua mili sharaab

Varna kaise din gujarate

Tum amir ho khushnaseeb ho

Main gareeb hoon badnaseeb hoon

Pee pee ke jakhm apne seene do

Mujhko peena hai peene do

Mujhko jeena hai jeene do

Mujhko Peena Hain di Mohammed Aziz/Alka Yagnik - Testi e Cover