Hamara Parcham
Happy Independence Day
Enjoy
Hamara parcham
ye pyara parcham
Hamara parcham ye pyara parcham
ye parchamon mein azeem parcham
ye parchamon mein azeem parcham
ataa e rab e kareem parcham
Hamara parcham ye pyara parchammmm
( (
Hamari azmat ka paasbaan hai
hamari millat ka tarjuman hai
hamare ehsas ka beyan hai
hamari Riffat ka asman hai
Azeem milat azeem parcham
Azeem milat azeem parcham
ataa e rab e kareem parcham
Hamara parcham ye pyara parcham
Hamara parchammmm
( (
Faza mein naghme luta raha hai
shaoor e milat jaga raha hai
dil o nazar mein samaa raha hai
tamam aalam pe chha raha hai
farange mojay naseem parcham
farange mojay naseem parcham
ataa e rab e kareem parcham
Hamara parcham ye pyara parcham
Hamara parchammmm
( (
Yehi Nishan e Haram hamara
yehi hai abre karam hamara
yeh jaan hamari yeh damm hamara
rahay ga ooncha alamm hamara
Alam hamara azeem parcham
Alam hamara azeem parcham
ataa e rab e kareem parcham
Hamara parcham ye pyara parcham
Hamara parchammmm
Thanks For Listening