Kyon na hum tum
Chalein tedhe medhe se
Raston pe nange paanv re
Chal bhatak le na baawre
Kyon na hum tum
Phire jaake almast pehchani
Rahon ke pare
Chal bhatak le na baawre
Inn timtimati nigaahon mein
Inn chamchamati adaaon mein
Luke huye
Chhupe huye
Hai kya khayal baawre
Kyon na hum tum
Chale zindagi ke nashe mein hi
Dhut sarphire
Chal bhatak le na baawre
Kyon na hum tum
Talashein bageechon mein
Phursat bhari chhanv mein
Chal bhatak le na baawre
Inn gungunati fizaaon mein
Inn sarsarati hawaaon mein
Tukar tukar yun dekhe kya
Kya tera haal baawre
Na lafz kharch karna tum
Na lafz kharch hum karenge
Nazar ke kankadon se
Khamoshiyon ki khidkiyan
Yun todenge mila ke
Mast baat phir karenge
Na harf kharch karna tum
Na harf kharch hum karenge
Nazar ki syahi se likhenge
Tujhe hazar chitthiyaan
Khamoshi jhidkiyaan
Tere pate pe bhej denge
Sunn khankhanati hai zindagi
Le humein bulati hai zindagi
Jo karna hai wo aaj kar
Na isko taal baawre
Ye aha ha
Kyon na hum tum
Chalein tedhe medhe se
Raston pe nange paanv re
Chal bhatak le na baawre
Kyun na hum tum
Phire jaa ke almast pehchani
Raahon ke pare
Chal bhatak le na baawre
Inn timtimaati nigaahon mein
Inn chamchamati adaaon mein
Luke huye
Chhupe huye
Hai kya khayal baawre