menu-iconlogo
logo

Saansein

logo
Testi
Saansein meri ab befikar hain

Dil mein base kaise ye pal hain

Baatein sambhal jaa rahi hain

Palkon mein yoon hi hasi hai

Man mein chhupi kaise ye dhun hai

Har khwaishein uljhi kidhr hain

Pairon se zakhmi zameen hai

Nazrein bhi thehri hui hain

Hai ruki har ghaddi

Hum hain chalein raahein yahin

Ye manzilein humse khafa thi

In parchhaiyon si bewafa thi

Baahon mein ab khoyi hain raatein

Haathon mein khuli hain ye shaamein

Ye subah hai nayi

Hum hain chalein raahein yahin

Main apne hi man ka hausla hoon

Hai soya jahaan par main jagaa hoon

Main peeli sehar ka nashaa hoon

Main madhosh tha, ab main yahan hoon

Saansein meri ab befikar hain

Dil mein base kaise ye pal hain

Naghmein khile hain ab saare

Pairon tale hain mashaalein

Tham gayi hai zameen

Hum hain chalein raahein yahin

Main apne hi man ka hausla hoon

Hai soya jahaan par main jagaa hoon

Main apne hi man ka hausla hoon

Hai soya jahaan par main jagaa hoon