menu-iconlogo
huatong
huatong
rapper-shaz-bayaan-cover-image

Bayaan

Rapper Shazhuatong
nlclary3huatong
Testi
Registrazioni
Baatein jo dabi hai kaise nikalu mai

Baatein jo andar hai kaise krun bayaan?

Saaya ye chaaya ye kaali si raatein

Kaala sa baadal ye kaali si baatein

Likhne laga tha jab chauthi mein tha mai

Likhta tha jab sookhta tha halaq

Likhta tha jab darne laga tha raaton se

Likha tha jab dekhi uski jhalak

Aaj likhne se mai darta kyun hoon?

Bata na dun kahin nizi kahani

Aaj dikhne se mai darta kyun hoon?

Yaad na aaye kahin baatein purani

Aaj likhta hoon main logon pe kyunki

In logon ne hi banaya hai mujhko

Life was shit akela tha mai

Jaane ab kya kya bataun mai tujhko?

Akela tha mai logon se door

Sar zameen mai aur tha mai mazboor

Chup raha mai phir hui judaai

Bolne lagi thi meri likhaayi

Akela tha mai wo rahe the ghoor

Ghor andhera yeh kaisi noor?

Akele mein khud se hi karta tha baatein

Akeli thi raatein khud se hi vaadein

Chup rehte rehte mai bolne laga tha

Gumshuda khud ko hi khojne laga tha

Baatein phir karne laga tha alag

Baatein aisi ki sukhaye halak

Baatein krun doob jaaun nashe mein

Aakhon se bah yeh aansu yaa khoon?

Darun unse ya phir likhun maze mein?

Gumshuda apne alfaazon ko dhoond

Krun mai kya? Tu hi bata

Jaane khud ko kaise doon mai saza?

Kahun mai kya? Tu hi bata

Chup rehne ki mujhko de do wajah

Kahun mai kya? Kaise kahoon?

Alfaazon pe mere taale hai kyun?

Marun mai kya? Kaise jiyun?

Gaddar hi gaddi sambhaale hai kyun?

Kaise na karun mai bayaan

Karte ye kaam galat

Messiah bana mai naya

Faasi se latka halaq

Jhoote hai inke vaadein

Choti hai inki soch

Sach bolde koi

Khate hai unhe noch

Dekhun mai kya? Kya mai dikhaun?

Saaya hoon mai mai tujhme samaun

Nidar hoon mai na khauf hai maut ka

Kafan hai sar pe mai arthi uthaun

Gaane pe gaane gaano mein sacchai

Gaane hi gaane de kuch na dikhai

Viral hua 2019 mein

18 Hai umar aur maine machai

Shaz!

Altro da Rapper Shaz

Guarda Tuttologo

Potrebbe piacerti