menu-iconlogo
logo

Sahib

logo
Testi
Sahib nazar rakhna, Maula nazar rakhna

Sahib nazar rakhna, Maula nazar rakhna

Tera karam sabko mile, sabki fikar rakhna

Saahib nazar rakhna, Maula nazar rakhna

Naa aadmi ki aadmi jhele gulamiyan

Naa aadmi se aadmi maange salaamiyan

Jo fark paida ho rahe woh fark gark ho

Sabko barabar baant ye dharti ye aasmaan

Koi bhi na ho dard mein, sabki khabar rakhna

Sahib nazar rakhna, Maula nazar rakhna

Sahib nazar rakhna, Maula nazar rakhna

Sab sar utha ke chal sake, sabko ye bal mile

Koi kisi awaaz ko, daata kuchal na de

Yahan kaam bhi sabko mile, aaraam bhi sabko

Mehnat kare jo aadmi, mehnat ka phal mile

Har bol pe, har baat pe, apna asar rakhna

Sahib nazar rakhna, Maula nazar rakhna

Sahib nazar rakhna, Maula nazar rakhna

Maula... Maula...

Sahib di Rituraj Mohanty - Testi e Cover