menu-iconlogo
logo

O Saiyyan (From "Agneepath")

logo
Testi
Meri adhoori kahani

Lo daastaan ban gayi

O tune chhua aaj aise

Main kya se kya ban gayi

Sehme hue sapne mere

Haule haule angdaiyaan le rahe

Thehre hue lamhe mere

Nayi nayi gehraiyaan le rahe

Zindagi ne pehni hai muskaan

Karne lagi hai itna

Karam kyun na jaane

Karwat lene lage hain armaan phir bhi

Hai aankh nam kyun na jaane

O saiyyan

Odhun teri kaaya

Solah singaar main saja loon

Sangam ki ye raina

Is mein tyohar main mana loon

Khushboo teri chhoo ke

Kastoori ho jaaaun

Kitni pheeki thi main

Sindoori ho jaaun

Sur se zara behki hui

Meri duniya thi badi besuri

Sur mein tere dhalne lagi

Bani re piya main bani baansuri

Zindagi ne pehni hai muskaan

Karne lagi hai itna karam kyun na jaane

Karwat lene lage hain armaan phir bhi

Hai aankh nam kyun na jaane

O saiyyan

Mere aasmaan se

Jo hamesha gumshuda the

Chand taare

Tumne gardishon ki

Lay badal di

Laut aaye

Aaj saare

O saiyyaan