menu-iconlogo
logo

Maana Ke Hum Yaar Nahin

logo
Testi
Maana ke hum yaar nahin

Lo tay hai ke pyaar nahin

Maana ke hum yaar nahin

Lo tay hai ke pyaar nahin

Phir bhi nazrein na tum milaana

Dil ka aitbaar nahi

Maana ke hum yaar nahi…

Raaste mein jo milo toh

Haath milaane ruk jaana

Ho…

Saath mein koi ho tumhare

Door se hi tum muskaana

Lekin muskaan ho aisi

Ki jisme ikraar nahi

Lekin muskaan ho aisi

Ki jisme ikraar nahi

Nazron se na karna tum bayaan

Woh jis’se inkaar nahi

Maana ke hum yaar nahi…

Phool jo band hai panno mein

Tum usko dhool bana dena

Baat chhide jo meri kahin

Tum usko bhool bataa dena

Lekin wo bhool bhi ho aisi

Jis’se bezaar nahin

Lekin wo bhool bhi ho aisi

Jis’se bezaar nahin

Tu jo soye toh meri tarah

Ik pal ko bhi karaar nahin

Maana ki hum yaar nahi…

Kisi daraaz ke kone mein

Teri tasveer mili hai

Phir wohi kaanton ka safar

Wahi phoolon ki gali

Wahi phoolon ki gali