Itna baksha hai mere deen bandhu data ne
Pal mein karta hai mera dil hazaar shukrane
Shukrana shukrana tera prabhu
Kiya hai sada, karenge sada
Shukrana shukrana tera prabhu
Kiya hai sada, karenge sada
Shukrana humne tera hamesha kiya hai
Hume hak se zyada tune data diya hai
Shukrana shukrana tera prabhu
Kiya hai sada, karenge sada
Rehmat hai ye teri humko apnaya
Sar pe hamare rakha hai apna saaya
Izzat walo mein pehchane jaate hai
Rab se darne wale hum kehlate hain
Shukrana tune humko sharan mein liya hai
Hume hak se zyada tune data diya hai
Shukrana shukrana tera prabhu
Kiya hai sada, karenge sada
Hath hamara pakda hai tune jab se
Chinta phikar hamari choot gayi tab se
Tujhko saunp diya jeevan ka bhar prabhu
Ab chinta karna lagta bekar prabhu
Shukrana har dam tera dil se kiya hai
Hume hak se zyada tune data diya hai
Shukrana shukrana tera prabhu
Kiya hai sada, karenge sada