menu-iconlogo
huatong
huatong
Testi
Registrazioni
Mujh se be-matlab ke sawaal na pucho

Un se kaho "Phir se janaab na rutho"

Maana tumhaari ye anaa ki baat re

Mujh me gunaah hain tum sawaab na dhundo

Han me gunehgaar thehra

Tumhe kitni baar kehra

Apne zimme daagh lera

Me hi zimmedaar thehra

Ab ye daagh denge mujhe

To tum daagh mere dhoge na?

Jo dunya khilaaf ho to saath mera doge na?

Ye mun pe kharay saath par ilzaam dete khule aam

Me sochu kahan hote agar mera nahi hota naam

Lelo

Han jitne bhi geet mene likhe

Tum lelo

Han jitnе dewaane yahan merе

Tum lelo

Ke kitna kamaaya mene naam

Apne sar leloge kya mere saare ilzaam?

Kabhi bhi chooti in haathon se kalaai haina?

Lakeerain jhooti mene haathon se gawaai haina?

Mushkil thi rasmain par mene bhi to nibhaai haina?

Zindagi roothay ye to banday ki tabaahi haina?

Sheher badal liya apni shakal ko to chor deta

Hoti tujh me aqal to anaa ke but tu torr deta

Teri to apni kabhi khud se nahi bani

Tu bhi jaane ke bandook tuney kab se khud pe tanni

To phir ghalat hai jo soche ke koi bhi tujhse raazi hoga

Jo aage barhoge to mu pe khara maazi hoga

Tujhe pata hai kon sa saaya tera peecha kare

Kon khara dekhe kon yahan aafaton se kheencha karay

Mujh se be-matlab ke sawaal na pucho

Un se kaho "Phir se janaab na rutho"

Maana tumhaari ye anaa ki baat re

Mujh me gunaah hain tum sawaab na dhundo

Isse to behtar tha ke ham hi na hote yahan pe

Sochun me kis pe partay gillay phir saare jahan ke?

Kyunke in saaron ko koi bura banda chahiye na?

To phir se aaiye ilzaam mujhpe lagaiye na

Aik zakham bharta inhe dusre ki jaldi haina?

Kaise pehchaano? Mene khaak mun pe mal di hai na

Mujhe pata hai tuney parwaanay maaray kitne

Tere sheher me bhi ye roshni to dhalti haina?

Inhe guzaaro jis se mujhe tha guzaara

Tab hi jaake hoga phir koi muaaida hamaara

Ke me choota hun salaakhon se to berhiyan nikaal li

Me shetaano ki mehfilon me dhoondta sawaab bhi

Me dozakhon me jhaanku mere jannaton ke khwaab bhi

Ye banda be-niyaaz par me leta hun hisaab

Sab se faaslon pe betha par me jaanu sab ke raaz bhi

In saaron ko bataado ke ye rakhain mujhse aajzi

Me rehem se hun dur kaafi rukain mere haath nai

Me sehmay we ko maarun mujh me sharam-o-lihaaz ni

Me behray ko bhi pakar ke sunaa deta hun saaz

Koi jung to tum laa do me bana dunga mahaaz bhi

(Jung to tum laa do me bana dunga mahaaz bhi)

(Jung to tum laa do me bana dunga mahaaz bhi)

Mujh se be-matlab ke sawaal na pucho

Un se kaho "Phir se janaab na rutho"

Maana tumhaari ye anaa ki baat re

Mujh me gunaah hain tum sawaab na dhundo

Altro da Sunny Khan Durrani

Guarda Tuttologo