Dil-e-naadaan tujhe huaa kya hai?
Aakhir is dard kee dawa kya hai
Humko unse wafa ki hai ummeed
Jo nahee jaante wafa kya hai
Dil-e-naadaan tujhe huaa kya hai?
Dil-e-naadaan tujhe huaa kya hai?
Aakhir is dard kee dawa kya hai?
Dil-e-naadaan tujhe huaa kya hai?
Hum hain mushtaaq aur woh bezaar
Hum hain mushtaaq aur woh bezaar
Ya ilaahee! yeh maajra kya hai?
Dil-e-naadaan tujhe huaa kya hai?
Jab ki tujh bin nahi koee maujood
Jab ki tujh bin nahi koee maujood
Fir ye hangaama, aey Khuda! kya hai
Dil-e-naadaan tujhe huaa kya hai?
Jaan tum par nisaar karta hoon
Jaan tum par nisaar karta hoon
Main naheen jaanata duaa kya hai
Dil-e-naadaan tujhe huaa kya hai?
Dil-e-naadaan tujhe huaa kya hai?
Aakhir is dard kee dawa kya hai?
Dil-e-naadaan tujhe huaa kya hai?