menu-iconlogo
logo

Zindagi Ke Safar Mein

logo
歌詞
Zindagi ke safar mein

Guzar jate hain jo makam,

Woh phir nahin aate,

Woh phir nahin aate!

Zindagi ke safar mein,guzar

Jate hain jo makam

Woh phir nahin aate,

Woh phir nahin aate

Phool khilte hain,

Log milte hain

Phool khilte hain,

Log milte hain magar

Patjhad main jo phool

Murjha jate hain

Woh baharon ke aane se khilte nahin

Kuchh log ek roz jo bichad jate hain

Woh hazaron ke aane se milte nahin

Umr bhar chahe koi pukara kare unka naam

Woh phir nahin aate,

Woh phir nahin aate

Aankh dhoka hai

Kya bharosa hai

Aankh dhooka hai kya bharosa hai suno

Doston shak dosti ka dushman hai

Apne dil me ise ghar banane na do

Kal tadapna pade yaad me jeene ki

Rok lo roothkar unko jaane na do

Baad me pyaar ke chahe

Bhejo hazaroon salaam

Woh phir nahi aate

Woh phir nahi aate

Subaah aati hai

Raat jaati hai

Subaah aati hai

Raat jaati hai yuhi

Waqt chalta hi rehta hai rookta nahi

Ek pal me ye aage nikal jaata hai

Aadmi theek se dekh paata nahin

Aur parde pe manzar badal jaata hai,

Ek baar chale jaate hai

Jo din raat subah shaam

Woh, woh phir nahi aate

Woh phir nahi aate!

Zindagi ke safar mein,guzar

Jate hain jo makam

Woh phir nahin aate,

Woh phir nahin aate!