Ajj phirse arsa ek hua
Joh tu nahi aya tou mukhar sa mein gaya
Ajj phirse kyun mein sou gaya?
Joh dil mein tu dimagh ne phir kuch bhi na kaha
Yaadein kho rahi hain abb kahein
Joh dekh le tu mur ke kuch bhala ho phir mera
Ajj menay socha tha yehi
Ke linkhunga mein tum partou karunga sab bayaan
Jane jaan tum jano he nahein
Ke jaan mein meri basti ho tum kis haan kis tarhaan
Dil lagi ki baatein sab karein
Nibhana phir kyun sab ke liya hai nahi asaan
Tu bata de kuch mujhe!
Ya mein bata dun kuch tujhe?
Bechaini ke iss alam mein kya kuch bana doun mein tujhe?
Parinda joh ure
Haan asmaan mein
Aam si woh ankhein joh bas dekhti rahein
Dil lagi ki baatein hum karein
Par dil hamare pass he nahein
Apko hum dhun dein kis jagah?
Jab apka pata he hai nahein!
Naam loun mein kis tarhaan?
Khara houn mein abb kis jagah
Ibadatoun se ghafil
Joh chahiya tha na mil saka
Likh doun ek kitab
Jab yeh toota bikhra dil dukha
Bura houn nahein bura raha sahi
Par ansun teri ankhoun mein na dekhoun youn kabhi
Joh hogi tum udaas tou keh dena mujhe
Asmaan bhi rou dega joh ansun youn giray
Ajj phirse arsa ek hua
Joh tu nahi aya tou mukhar sa mein gaya
Ajj phirse kyun mein sou gaya?
Joh dil mein tu dimagh ne phir kuch bhi na kaha
Yaadein kho rahi hain abb kahein
Joh dekh le tu mur ke kuch bhala ho phir mera
Aaj phir se arsa ek hua
Kay jaanam teri yaadou mein bikhar sa mai gaya
Aaj kiu yeh baadal hai ghanay
Tou goya aise din ko dekhe arsa ek hua
Aaj jou tum mujhse jaa miley
Tou jese mere dil ko ek chein parhgaya
Phir kisi ney mujhko yeh kaha
Kay uthou betey, kiu yu bethe bethe sougaya
Mai dekhta hu bus khuaab tere
Tumsey milney ki hai chahat meri chaah dekhein
Tere husun ki tou waah jaana kiya kehne
Tujhe nazrou bachaye tou balaa lelein
Yeh jahaan lelein
Meri saans, mein hai tu, mere ansu mein
Meri jaan, meri jaan, meri jaan lelein
Tujhe chahte kitna hain chal tu hisaab lele
Mai tou parhta hu insaan tu kitaab lele
Mmmm
Tu meri nahi housakti, mujhko bhi pata
Haqeeqat kay tu chahti kisi aur ko
Yeh khush naseebi uski, chahti hai tu usko
Lekin mai tera hu aashiq mai na chaahu kisi aur ko
Mai aksar sochta hu kiya tujhe woh kehta houga
Mai aksar sochta hu tum bin mujhko rehna houga
Mai aksar sochta hu kay wou tere chehre se hataakay
Teri zulfhein tujhse baatein aksar karta houga
Aaj phir se arsa ek hua
Kay jaanam teri yaadou mein bikhar sa mai gaya
Aaj kiu yeh baadal hai ghanay
Tou goya aise din ko dekhe arsa ek hua
Aaj jou tum mujhse jaa miley
Tou jese mere dil ko ek chein parhgaya
Phir kisi ney mujhko yeh kaha
Kay uthou betey, kiu yu bethe bethe sougaya