menu-iconlogo
logo

Salaam Aaya

logo
歌詞
Dabi dabi saans mein

Suna tha maine

Bole bina mera naam aaya

Palken jhukin

Aur uthne lagin to

Haule se uska salaam aaya

Hmm dabi dabi saans mein

Suna tha maine

Bole bina mera naam aaya

Palken jhukin

Aur uthne lagin to

Haule se uska salaam aaya

Jab bole wo jab bole

Uski aankh mein rab bole

Jab bole wo jab bole

Uski aankh mein rab bole

Paas paas hi rehna tum

Aankh aankh mein

Kehna tum

Dekha tumhe to aaram aaya

Dabi dabi saans mein

Suna tha maine

Bole bina mera naam aaya

Palken jhukin

Aur uthne lagin to

Haule se uska salaam aaya

Roz hi dil ki aag utha kar

Haath pe lekar chalna hai

Tere bina bina

Tere boond boond ab

Raat raat bhar jalna hai

Tu mile na mile

Ye haseen silsile

Waqt ke sakht hain

Ab ye katte nahin

Haan tere bina saans bhi

Chalti hai

Tere bina dil bhi dhadakta hai

Yaad nahin tha yaad aaya

Dabi dabi saans mein

Suna tha maine

Bole bina mera naam aaya

Haan haan haan haan

Haan haan haan haan

Haan haan haan haan haan

Haan haan haan

Haan haan haan haan

Din ki tarah tum

Sar pe aana

Shaam ke jaise dhalna tum

Khwaab bichha rakhe hain

Raah mein

Soch samajh kar

Chalna tum

Neend ki chhaon se

Tum dabe paaon se

Yun gaye wo nishaan

Ab to mitte nahin

Tere liye chaand bhi rukta hai

Tere liye oss theherti hai

Yaad nahin tha yaad aaya

Dabi dabi saans mein

Suna tha maine

Bole bina mera naam aaya

Palken jhukin

Aur uthne lagin to

Haule se uska salaam aaya

Salaam aaya salaam aaya

Salaam aaya salaam aaya

Salaam aaya salaam aaya

Salaam aaya salaam aaya