Ye hausla kaise jhuke 
Ye aarzoo kaise ruke 
Ye hausla kaise jhuke 
Ye aarzoo kaise ruke 
Manzil mushkil toh kya? 
Dhundhla sahil toh kya? 
Tanha ye dil toh kya? Ho 
Raah pe kaante bikhre agar 
Uss pe to phir bhi chalna hi hai 
Shaam, chhupa le sooraj, magar 
Raat ko ik din dhalna hi hai 
Rut ye tal jaayegi 
Himmat rang laayegi 
Subah phir aayegi, ho 
Ye hausla kaise jhuke 
Ye aarzoo kaise ruke 
Ye hausla kaise jhuke 
Ye aarzoo kaise ruke 
Hogi humein jo rehmat ata 
Dhoop kategi saaye tale 
Apni Khuda se hai ye dua 
Manzil laga le humko gale 
Jurrat 100 baar rahe 
Ooncha iqraar rahe 
Zinda har pyaar rahe, ho 
Ye hausla kaise jhuke 
Ye aarzoo kaise ruke 
Ye hausla kaise jhuke 
Ye aarzoo kaise ruke