Abhi mujh mein kahin
Baaqi thodi si hai zindagi
Jagi dhadkan nayi
Jaana zinda hoon main to abhi
Kuchh aisi lagan is lamhe mein hai
Yeh lamha kahaan tha mera
Ab hai saamne ise chhoo loon zara
Mar jaaoon ya jee loon zaraa
Khushiyaan choom loon
Yaa ro loon zaraa
Mar jaaoon ya jee loon zaraa
Ho... abhi mujh mein kahin
Baaqi thodi si hai zindagi
Ho… dhoop mein jalte huve tan ko
Chhaya ped ki mil gayee
Roothe bachche ki hansi jaise
Phuslaane se phir khil gayee
Kuchh aisa hi ab mehsoos
Dil ko ho rahaa hai
Barson ke puraane zakhm pe
Marham laga sa hai
Kuch aisa rahem is lamhe mein hai
Yeh lamha kahaan tha mera
Ab hai saamne ise chhoo loon zara
Mar jaaoon ya jee loon zara
Khushiyaan choom loon
Yaa ro loon zaraa
Mar jaaoon yaa jee loon zaraa
Dor se tooti patang jaisi
Thi ye zindagani meri
Aaj hoon kal ho mera naa ho
Har din thi kahaani meri
Ik bandhan naya peechhe se
Ab mujhko bulaaye
Aanevaale kal ki
Kyun fikar mujhko sata jaaye
Ik aisi chhubhan is lamhe me hai
Ye lamha kahaan tha mera
Ab hai saamne ise chhoo loon zara
Mar jaaoon ya jee loon zara
Khushiyaan choom loon
Yaa ro loon zaraa
Mar jaaoon ya jee loon zara