menu-iconlogo
logo

Girhain (feat. Rahab Munir)

logo
歌詞
(Guitars)

Soolhi pe charhay aashiq

Munkaron ke taaj hue

Shaam girhain phiray baandhte

Raat ke khulay raaz pe

Shaam girhain phiray baandhte

Raat ke khule raaz pe

Meri kamyaabi aur nakaami dono sath chalain

Koi acha likhaari ya acha insaan bane

Matlab ke wahan sunne waale sar pe Taaj rakhain

Yahan mere ghar pe adhooray saray kaam paray

Apnon ko shikwa ke me bolta nai zyaada

Yahan mic pe me garhay murday khol ke dikhaata

Matlab koi to tazaad hoga meri takhleeq me

Aik hi tasweer me kyun chehray hazaar dikhain

Me faani la-faani ke beech ka insaan hun

Me kafiye radeef me hi rooh apni daal dun

Me raazi razaa ke is khel se bhi aaq hun

Me maazi aur kal ke maathe pe goli daag dun

Jo tum sab ko dikhta me wo nai maseeha

Me shayar hun qaayar hun jumlon main chupta

Me ghonpta hun gallay apni shaklon ke roz

Par me kese azaad jab me qaid ka hun dost?

Wo kholta darwaazay mujhpe kholta wo rizq

Aur me betha hua sehem ke qaffas se mujhe ishq

Mujhe raas nai aai ye aazadi aur rehaai

Mujhe aas nai chaiye mujhe chaiye duhaai

To aajao tumhe dedun asleehat ke karway neem

Aur tu naach jab tak bajte rahe zehreelay bheen

Mere aas paas ke mardon ka zarf itna kam

Ke wo lar rahe hain aurton se maangne pe haq

Jab koi aurat yahan kahay mera jism meri marzi

Mere aas paas ke mardon ki anaa yahan jalti

Dete be maqsad daleelain puche haq kyun inhe chaiye

Me kehta ghar ki aurton se baat kijye jaiye

Tum roz beth ke yaaro me jo khiliyaan uraate

Aur Izzat pe tere ghar ki roz wohi toofaan aate

Tu na waakif hai tu waakif nahi bas itna hi hai farq

Tera baap teri maa ke haqooq karta tarq

Jaa k pooch apni maa se mera na tu yaqeen kar

Mardangi ki aag me zameer legaya deen dharam

Mujhe aage bolain mere nazariye sab ghalat

Aik pe phenk dia tezaab, aik pankhay se gai latak

Aur phir bhi teri jurrat puche kyun haqooq chaiye

To phir se kehta maa behen se baat kijye jaiye

Aur deni dedo gaali

Tumse lakhon aaye pehle bhi

Itni bari anaa nahi chup karke wo seh legi

Par tum kya karoge jab zameer cheekhain maaray?

Mere lafzon pe tanz tujhko nai bachaane waale

Na dost yaar tere jo ke hassain mere huliye pe

Waqif tu bhi andar se ke wo saare bhi wehshiye

Wo noch khaalain aurat jo qudrat de unhe moqa

Tu aankhon pe baandhe patti khud ko de raha tu dhoka

Aur tu mujhe aage kehta mere lafz saare khoklay

Tu apne hi ghar me aata selaab rok le

Khalil Ur Rehman jese mardon ko poojte

Jo darja insaaniyat se bhi neeche hain gire hue

Khud jo pyaar apna haasil na kar sake

Lage hue dunya ki aurton ko gaali dene

Bas yehi rehgayi kya teri qull mardaangi?

Ke aurat pe cheekh tuney baat anaa ki maan li

Tu soche kahay deen tujhe ashraf makhlooqaat

Par ye kahin nahi zikar jaake parhle tu Quran

Ye khel mard zaat ka mazhab ki liye dhaal

Apne iraaday wo pure karne daalta hai jaal

Aur tu kabse phansa hua ussi jaal ke beech me

Me azaad panchi tu tor zanjeerain ke

Soolhi pe charhay aashiq

Munkaron ke taaj hue

Shaam girhain phiray baandhte

Raat ke khule raaz pe

Shaam girhain phiray baandhte

Raat ke khule raaz pe