menu-iconlogo
logo

Jaane Do Na

logo
歌詞
In kaali raaton me

Adhoori baaton me

In saari yaadon me

Kya rakha hai jaane do na

Wo faaslay barha rahe (Faaslay)

Ham raaste dikhaa rahe (Raaste)

Ham kis ke mohtaaj hain?

Ham apne hi raston pe barhte hi jaa rahe

Ham kis ke mohtaaj hain?

Ham kis ke mohtaaj hain?

Seedha saada larka aaya rap game me

Ke cheene na niwaala

Khaata sirf apni plate se

Par is rap game ke asool thore mukhtalif

Mun pe saare dost

Karte waar peeth peeche palat ke

Me torta riwayatain (Torta riwayatain)

Tabhi aaj kal sab hi ko mujhse shikaayatain

Ke jaane do na

Rehne do na chahiye masala

Aur mic pe aake me bhi dil ki sunaata

Ham chor chukay karna samaaj se samjhotay

Ye rap scene tha pheeka

Agar ham nahi hotay

To kyun na me bhi ghoomun chaurha seena phulaa ke

Ke milta nai maqaam kisi tray pe sajaa ke

Ham chahte to kitno ke khol dete sar

Par ham jaane dete bachon ko

Phelane dete par

Saare brands jese makhiyon ke maarte hain gairay

Set pe chill karne ko laakhon wo de rahe

Bhai sath fikkar nahi ke tum kis ki side ho

Khoon me riyaazi pie theek se divide ho

Agar art se na pyaar hota

Shayad ham bhi paar hote

Ham bhi hote doghlay

Aur dushman apne yaar hote!

In kaali raaton me

Adhoori baaton me

In saari yaadon me

Kya rakha hai jaane do na

In kaali raaton me (Raaton mein)

Adhoori baaton me (Baato mein)

In saari yaadon me

Kya rakha hai jaane do na

(Jaane do na)

Dil aur dimaagh ki jung yahan sada shaad rahe

Bas gaye in sab ke mahal

Ham hi barbaad rahe

Subah shaam zehen me jalta inteqam rahe

Chala qallam gaarh ke

Zinda bas peghaam rahe

Bachnay ka na chaara dikhe

Chale jidhar dhaara dikhay

Jaib me the baara sikkay

2 chehron ke gyaara dikhain

Bolain tum akele nai ke jis ko pareshani

To phir me ne apne jeson ki hi foaj bana li

Seena mera chalni me zakhm nahi gin para

Andheray me betha hua ke guzar gaye din baara

Hathon me tootay hue rishton ki dor hai

In dhago'n ko kis mun se baandhun mazaar pe?

Saaron ka guzre hue salon pe ghor hai

Kyun na ho jo sapne hi bik gaye bazaar me?

Kis kis ko dosh dain?

Ham kis kis se bolte?

Ham jis dar ko kholte

Har shakkal pe makhotay

Dunya ki sab jungon ko sanjeeda kese lete?

Jab roz mujhe neend se shetaan jagaa dete

Ham khushi aur sakoon ke khwaab tak se dur rahe

Aainay se nafrat aur aainay ko ghoor rahe

Mashal e raah banay

Khud ko hi khaak kar

Khud se hi binti ke khud ko hi maaf kar

Khud se hi binti ke khud ko hi maaf kar

Khud se hi binti ke

In kaali raaton me

Adhoori baaton me

In saari yaadon me

Kya rakha hai Jaane do na

In kaali raaton me (Raaton mein)

Adhoori baaton me (Baaton mein)

In saari yaadon me

Kya rakha hai?

Jaane do na (Jaaney do na)