menu-iconlogo
logo

Kitna Badal Gaya Insaan (feat. Eva B)

logo
歌詞
Chall aur kappat ke haathon apna baich raha eemaan

Kitna badal gaya insaan

Kitna badal gaya insaan

Sooraj na badla, chaand na badla, na badla re aasmaan

Kitna badal gaya insaan

Kitna badal gaya insaan

Unity is strength tabhi to mili azadi

Wrna har aik k gale pe hoti gulaami ki phansi

Ithadi hi thi jo yahan tak leke aai

Par waqt ne har aik ki, asleehat dikhaai

Bhai bhai ki larai jawan beta baap kamaey

Gali koochay ki larai pe behn ne gali khai

T shirt pe loose jacket yahan tights me he legs

Maa behn pe gali dena hai yahi he inka swag

Chars pe bharam lekin bharam to ye arzi he

Haqeeqat me to ye apni behn k hi karzi hain

Koi inhe kuch na bole, jo ye chahe wohi krna he

Mehnat se nahi, inhe rondh k hi aage barhna he

Rishwat dete khushi se, na denge jurmana ye

Sukoon gah aj masjid nahi balkay mekhana he

Dikhawe ki ibadat, dikhawe ko hajj pe jana he

Duniya me betha jannati hooron ka deewana he

Doosron ki behne slut? par shareef apni behna he

Giraa ke dusron ki izzat, izzatdar ban k rehna

Mazdooron ka haq kha rahe log

Education k nam pe kama rahe log

Shadi byah me bs paisa uraate

Mal e rishwat se ghar ko saja rahe log

Insano ki duniya me dikhti insnaaiyat nai

Jamhori ryasat me hukumat koi nahi jamhoriyat ki

10 saal ka bacha betha dhoondta hai porn site

Hashtag qaum tabah hai bat nahi ye tarbiyat ki

Duniya competition or zindagi imetehaan he

Jo gheebat krta milta usko hi ko inaam he

Log double policy or jaali zamaane k log

Zamane he jaali ye zamane pe ilzam he

Chall aur kappat ke haathon apna baich raha eemaan

Kitna badal gaya insaan

Kitna badal gaya insaan

Sooraj na badla, chaand na badla, na badla re aasmaan

Kitna badal gaya insaan

Kitna badal gaya insaan

12 saal ka me, mujhe fikar aasmano ki

Makhlook ko me dekhun suno dhun me zubaano ki

Parindo se thi guftgu aur urne ki khuwahish thi

Phir dunya ne roka le raah dunyaadaari ki

Sikhaadi saari batain jin se mera koi kaam nai

Jo cheezain ehsaas thi ab sune uske naam kaheen

Munaafa, nuksaan, takkabur aur nafrat

Anaa khudaaari bhai kesi ye circus

Jo karo tum sawaal to sawaal bhi khataa hai

Khud faraib karain bolain uski razaah hai

Yahan jang chalay zann pe, jang chalay zarr pe

Aag lagaate phirain apne hi ghar pe

Tinkon ke ghar maarte phoonkain ye naar ko

Internet pe bethay dete gaali sarhad paar

6 foot ka samaan nai aur batain jareeb ki

Jo ghalti insaan ki, banadain wo naseeb ki

Aaj kal me kaat ke, rakh dia waqt ko

Kaata likha usi pe, bachao is drakht ko

Wah dunya wahh tere tor bhi ajeeb hain

Kaaghaz nahi jaib me jinki wo sab ghareeb hain

Zameen ki hifazat karain lakeerain ye kheench ke

Zamee se bharke paani phir zamee ko hi bech dain

Kon kare fikar sochay, dooor khalaa ki

Jo log itne bhookay lete qeemat hawaa ki

Banaa ke haspataal lagaen, qeemat ye jaan ki

Pohunch nahi, torke warna beech dain ye chaand bhi ye

Qudrat ke baare me itne behiss hain ke

La ilmii me darain teesray jinss se

Jismon me doobay ye rooh me na terayy

Rishtay dunyaawi do pal bhi na thehrayy

Chall aur kappat ke haathon apna baich raha eemaan

Kitna badal gaya insaan

Kitna badal gaya insaan

Sooraj na badla, chaand na badla, na badla re aasmaan

Kitna badal gaya insaan

Kitna badal gaya insaan

Kitna Badal Gaya Insaan (feat. Eva B) by Sunny Khan Durrani - 歌詞&カバー