yaad kuch aathaa nahin ye hua kab se
ho gaya mushkil chupaana raaj ye sabse
tum kaho to maang loon main aaj kuch rab se
(are, re, are, ye kya hua ?) koyi naa pahachaanaa
(are, re, are, banataa hai to) ban jae afasaana
saamane hain raste hum guzar jaaen
ya kisi ke vaaste hum thahar jaaen
ab yahaan tak aa gae hain, ab kidhar jaaen?
(are, re, are, ye kya hua ?) koyi naa pahachaanaa
(are, re, are, banataa hai to) ban jae afasaana