kya tujh pe nazm likhun
aur kaisa geet likhun
Kya tujh pe nazm likhun
aur kaisa geet likhun
jab teri taarif karun
sur taal mein meet likhun
Kya tujh pe nazm likhun
aur kaisa geet likhun
jab teri taarif karun
sur taal mein meet likhun
kya tujh pe nazm likhun
aur kaisa geet likhun
kya tujh pe nazm likhun
Gem of Ghazals
kalawati mein teri chhavi hai
mukhda roop ka darpan
tere labon ke rang mein paye
maine laali maan
hawa mein udati latt ka swagat
karti jai jaiwanti
mehka mehka khila
tera rang basanti
baal kamar pe
jaise pahaaadi par
ghan ghor ghatayen
megh se naina saawan bhado
prem ka ras barsayen
teri sohni mohni surat
komal kanchan kaaya
jaane ghazal kisme se payi
tere husn ki chhaya
jisne sukhan rageshwari
roohe sangeet likhun
kya tujh pe nazm likhun
aur kaisa geet likhun
kya tujh pe nazm likhun
teri dhaani chunariya lehare
jaise madhur bayaar
pyaar ka ghulshan mehka mehka
tujhse jaane bahaar
teri ek jhalak hai kaafi
mujhko jaan se pyaari
chaal nasheeli dekh ke teri
rafs kare darbaari
sar se paaon talak dilkash
andaaz tera shahana
tu meri gunkali hai jaanam
main tera deewana
teri chahat dil mein le kar
ghuma desh videsh
tujhse jab bhi door raha hoon
dhara jogiya bhes
sada suhagan bhairavi tujhko
preet ki reet likhun
kya tujh pe nazm likhun
aur kaisa geet likhun
jab teri taarif karun
sur taal mein meet likhun
Kya tujh pe nazm likhun
aur kaisa geet likhun
kya tujh pe nazm likhun
kya tujh pe nazm likhun
kya tujh pe nazm likhun