Mangal mai bhaya mochini,
Durga sukh ki Khaan
Jiske charno ki sudha,
Swayam piye bhagwaan..
Dukh nashak sanjeevani,
Nav durga ka paath
Jisase banta bhikshuk
bhi, Duniya ka samrat
Amba divya swarupani,
Kaye so prakash
Prithvi jisase jyotirmay,
Ujawal hai aakash..
Durga param sanatani,
Jag ke sirjan haar
Aadi bhawaani maha devi,
Shristi ka aadhaar..
Jai jai durge maa...
Jai jai durge maa...
Sadd marg pradarshini,
Nyan ka ye updesh
Man se karta jo manan,
Usake kate kalesh
Jo bhi vipatti kaal main
Kare re durga jaap
Puran ho man kamna,Bhage dukh santap..
Utpan karta vishv ki,Shakti aprampar
Iska archan jo kare,Bhav se utre paar..
Durga sok vinashini,Mamta ka hai roop
Sati satvi satvanti,Sukh ke kala anup..
Jai jai durge maa...
Jai jai durge maa...
Vishnu brahma rudra bhi,
Durga ke hai adheen
Buddhi vidya vardani,
Sarva siddhi praveen..
Lakh chaurasi yoniyan,Se ye mukti de
Maha maya jagdambike,Jab bhi dayaa kare.
Durga durgati nashini,
Shiv vahini shukhkar
Ved mata ye gayatri,Sabke palanhar..
Sada surakshit wo jan hai
Jis par maa ka haath
Vikat dagariya pe usaki,
Kabhi na bigde baat...
Jai jai durge maa...
Jai jai durge maa...
Maha gauri vardayini,Maiya dukh nidaar
Shiv duti bramhachaarini,
karti jag kalyan..
Sankat harni bhagwati,Ki tu mala pher
Chinta sakal mitayegi,Ghadi lage na der.
Paras charnan durga ke,
Jhuk jhuk matha tek
Sona lohe ko kare,Adbhut kautak dek..
Bhavtarak parmeshwari,Leen kare anant
Isake vandan bhajan se,Paapo ka ho ant
Jai jai durge maa
Jai jai durge maa
Jai jai durge maa
Jai jai durge maa
Jai jai durge maa
Jai jai durge maa
Jai jai durge maa
Jai jai durge maa
........................