Benaam si khwaishein
Aawaz na mile
Bandishein kyun khwaab pe?
Parwaaz na mile.
Jaane hai par, maane dil na,
Tu na mere liye.
Bebasi yeh pukaar rahi hai,
Aa saajan mere
Benaam si khwaishein,
Chaand teri roshni, aftaab si hai magar
Chaah ke bhi na mile hai, dono ki nazar
Aasman ye mera jane, dono kab hai mile
Duriyaan, din raat ki hein,
Tai na ho fasle
Benaam si khwaishein,
Aawaz na mile
Patjhad jaaye, barkha aaye, ho bahar
Mausam badalte rahe
Dil ke nagar jo, basi sard hawaein
Kyun na jaayeinâ
Aa ja, aa bhi ja,
Mausam kate na, birah keâ
Benaam si khwaishein,
Aawaz na mile
Bandishein kyun khwaab pe?
Parwaaz na mile.
Jaane hai par, maane dil na,
Tu na mere liye.
Bebasi yeh pukaar rahi hai,
Aa saajan mere
Benaam si khwaishein,
Aawaz na mile