Ye jaage jaage naina
Soche tujhe din raina
Na laage jiya tum bin ye kahi
Kuch baatein yun hi hai na
Kuch baatein yun hi hai na
Ye chup chup rehna
Yun hi bas khud me behna
Mein khoyi hu kahi bas yun hi
Kuch baatein yun hi hai na
Kuch baatein yun hi hai na
Badli si jo seerat hai
Ye jo halat hai
Ho kaise bayaan mann ye jaane na
Mann ki baatein sab
Ye ho sa gaya mujhko hai kya
Gum si hu teri hi dhun mein
Tum bin hai sab bemaza
Ye dard meetha sehna
Ye ishq hi to hai na
Na laage jiya tum bin ye kahi
Kuch baatein yun hi hai na
Kuch baatein yun hi hai na
Ek sapna saa in aankhon me
Yun hi chalta hain
Aur aksar mein tumse karu baatein
Jab udti hun
Waha tum na ho na hi sapna
Sach ye hai k dil ab tum bin
Laage kahi na jiya
Ye chup chup rehna
Yun hi bas khud me behna
Me khoyi hun kahi bas yun hi
Kuch baatein yun hi hai na
Kuch baatein yun hi hai na
Kuch baatein yun hi hai na