menu-iconlogo
logo

Nishaan

logo
가사
Lautna hai

Laute kahan?

Dhundu main ghar

Ya uske nishaan?

Lautna hai

Laute kahan?

Dhundu main ghar

Ya uske nishaan?

Kaun hai pare, kaun hai mera?

Kya main zamaane se peeche khada?

Kya woh mujhe samajh na sake?

Ya jaante mujhko ye mujhse bhi zyaada?

Hun main bura, main teri tarah

Main bhi toh khaamiyo se hi bana

Dhundu main ghar, main teri tarah

Na hai deewarein, woh na koi makaan

Na woh ajnabee, na main laapata

Tu le ghar chala, main beghar khada

De ghar mujhe, main beghar na tha

Dhundu main usko ya uske nishaan?

Lautna hai

Laute kahan?

Dhundu main ghar

Ya uske nishaan?

Lautna hai

Laute kahan?

Dhundu main ghar...

Main kaise gaake saari baatein bataun?

Suro mein khojata hai baaton ka bhao

Waadon ke peeche mujhe dikhta shaq

Kaise main jaake mere waade kar aaun?

Khayal jo bhi zehen mein, nikaal deta kalam isse chupta ni kuch

Puri zindagi main khada raha, aate jaate log rahe, kash kabhi ruk jaate kuch

Mere dil se main puchu, kya tu thak sa gaya hai?

Kabhi kabhi ise chubhta ni kuch

Mere kadmon ke jute bandhe abhi bhi, shayad ye mere jaise ni, hai hausla atoot

Meri kalah mere jeene ki wajah, mere gaane mere maut ka saboot

Siwa inke main kama lunga bohot, siwa inke main gawa dunga khud ko

Kaise saza du main khud ko?

Mat dena us aag ka pata koi, jaha jaake sare jala saku dukh

Rahu sawalon mein khush, pata hawale ni kuch

Jo hai saath wahi sabkuch is baat ko samajhne mein khona pada khoob

Mujhe rona pada khoob

Pareshaan main, ab dhundta hu ghar, use chhod aya tha kyun?

Lautna hai

Laute kahan?

Dhundu main ghar

Ya uske nishaan?

Lautna hai

Laute kahan?

Dhundu main ghar...

Nishaan - Big Scratch - 가사 & 커버