Mera naam saira main saal ki
Mera sahara rozi roti kamai baap ki
Alima ki tarah mujhe ban'na tha gaika bhi
Par ye khaal insani haddi pe thi aurat zaat ki
Baap bola tordunga guitar tera
Bhai bola behna yeh wakti bukhaar tera
Samaj bola apni maa ko shi se taad zara
Tu aaurat khuab dekha tou kharab kirdaar tera
Kmana mardo ka kaam yeh
Tu khaa makaan mein bola meri sagi maa ne
Machaya main ne rola bola bibi khadija ko tou
Kamaane se kabhi na roka nabi pak (Pbuh) ne
Bhai cigratte piye usey kyun nahi rokti tu
Papa bahar mu maaren unhe kyun nahi tokti tu
Maa yeh ghulami islam nahi sikhata
Main jaanti hun andar se roz roti tu
Shush bholi maa boli bol ahista
Barabar ke kamre mein tere baap ka bistara
Wapis ghar aate hue tu sehmi sehmi si jis tarah
Wehmi rehkar tu dar mein phir kamaegi is tarah
Beti bahar koi nahi kisi ka tujhe galat fehmi hai
Phook ke aital kursi bhi rehti dill mein bechaini hai
Tu phool hai beti teri saari baatein zehni hain
Per is samaaj ke darakht ki tu tehni hai
Maa agar main koi phool nahi ya hoor nahi
Tou mardon ki gandi nazren kyun ghoortin
Main sar seene pe dupatta daaldun phir bhi
Seedha meri peet pe inki nazren ghinaalood si
Saira mera naam ab meri umar
Khusi ke baghair meri shadi najaiz
Maardi main ne gaika bhi banne ki khuaish
Mera jism meri azmaish
Mera jism meri marzi hai
Mera jism meri marzi
Mera jism meri marzi hai
Is pey kisi ka koi haqq nahi
Mera jism meri marzi hai
Mera jism meri marzi
Mera jism meri marzi hai
Is pey kisi ka koi haqq nahi
Mera naam maira main saal ki
Roz roti main khud apni kamaati
Saira ki tarah mujhe banna tha gaika
Per as an actress duniya mujhe pehchaanti
Baap mera saudia mein settle
Sagaa bhai mera khud apna manager
Bhai kya meri maa tak ka tha forward nature
Mera bhai ka yaar awara mera jigar
Per saira meri kahaani milti julti si
Meri shadi bhi iski tarah majboori thi
Khudkhusi thi jism ki khudkhusi thi
Mera nikah mein maa baap ko mujhse zinda khushi thi
Quran e pak ke tarjume se doori thi
Prhke smjh ai yeh shadi bewakoofi thi
Rabb ne ijaazat mana karne ki poori di
Maa baap ne beti ki izzat lootli thi
Phir bhoolgai thi zulm yeh bhi maa baap ka
Mera shohor ko mujhse pyaar behisaab tha
Per meri saas ka dimagh poora kharab tha
Shohor meri larai mein us hee ka hath tha
Raabta kia maa baap se kehte kar guzaara
Shohor ne haden paar ki mu pe thappad maara
Yeh tou wohi rawaiyya jo meri maa se baap ka
Paata hau ansu ka zaika khara
Lagaya haq ka naara mili talaak mujhe
Main ab adakaara
You kyun na yeh naqaab uthe
Ghair mardon ne kar diya napaak mujhe
Pak jism kya mera rooh yeh sawaal puche
Rabb roothe yeh mera uska maamla
Mera bhai aya kaampta chen k ne aapka naam lia
Kehta yeh jaise maira ka jism nanga naachta
Woh nanga jism lekar sadkon pe khule aam aa
Mera jism meri marzi hai
Mera jism meri marzi
Mera jism meri marzi hai
Is pey kisi ka koi haqq nahi
Mera jism meri marzi hai
Mera jism meri marzi
Mera jism meri marzi hai
Is pey kisi ka koi haqq nahi
Mera naam chen k urf nadir
Zimedaari rozi dene waali allah ki
Gaane wanne se mujhe kisi ne roka nahi
Kyuki main mard hun mujhe poori azaadi
Rahi baat bangle gaari aaurat wagera ki
Haan wo rasta tou hai per meri manzil ka nahi
Per dekh ke barhti umar maa baap ki
Mera bhi dill kare banjaun main shaitan ka pujari
Maira jaisi rakhlun main nangi models
Haaton mein charas aaur sharab ki bottles
Main bhi uthana shru kardun beghairat hoker
Tou yun ajaengi labels ki call kal
Aur bharke do mujhe galiyon pe gaaliyan
Karwe sach ka chakaunga aur bhi zaika
Safaiyan dene ka wakt nahi
Wo kambakht sa dushman insaan ka khelra hai chupan chupiyan
Saira tu ese darna bus kar
Kitaaben khol kar qanoon ke kaagaz parh
Jab ladke tujhe ghooren ya cheren has has kar
Tou rakh kar mu pe thappad de inhe kaskar
Farz kar tere peeche pari koi gaari
Tou yeh online daur hai mobile tera bhaari
Saaira har taraf bus hawas ke pujaari
Tera jism teri bhi zimmedaari
Aakhri baat maira se mujhe ek do bolni hai
Bolne ka haq mujhe gussa kyun hori hai
Naachna hai naach
Ada dikha tu jaise morni hai
Naachne ke saath per tu nangi kyun hori hai
Biwi ya tou hoti nangi ya koi mandi mein
Tu biwi tou nahi kisi ki tou kia tu r**i hai
Tu dus wajaaon mein se ek waja hai
Jis waja se aurten khilauna lagrahi hain