Pata nahi kyun loag pare peeche is faqeer ke
Bhae “nadir gaane banaade tu kashmir pe
Kyun? Kya tum logon ke margae zameer yeh
Kyun nadir hi roe kyun howe zaleel yeh
Main aur tum karen jitni tehqeeq yeh
Apni bandiyon ki nangi tasaweer pe
Us se kam bhi karoge tehqeeq tou be
Sach khara saamne nanga bezameer yeh
Ameer ya ghareeb, hame dikhta nahi
Syaasatdaan koi bhi farishta nahi
Koi bhi mulk se kisi mulk ka rishta nahi
Hathiyar croron ka bikta bhae
Dikhta nhi, yeh khel saara paison ka
Dekh jaake manzar chaaron jangon ka
Ek jaisa saanwla sa rang khaalon ka
Ek jaisa roag tha shaheedon ki maaon ka
Maaen roen aurten jwaan bewa
Boorhe baap se jang cheene jawaan beta
Parhe likhe ek doosre ko galiyan den waah
Ke kaunsi jang hind ya pak jeeta
Tabah dono mulk meri nazar me
Dono mulkon ki qurbaaniyan gatar me
Gaaliyan den ya jab bhi hum dono larte
Gair mulk arbon me jeben bharte
Karwe sach tou bolna mera kaam hai
Pak pe aatankwaad ka ilzaam hai
Pak ya hind ka rishta haraam hai
Jab tak arnab jeson ki zabaan hai
Aur kya hai na ke meri maut kareeb hai
Per maut ka dar nahi, wo rabb ne likhdi hai
Per dukh is baat ka, bhooljaenge mujhe bhi
Jaise bhoolgae shakal om puri ki yeh tou
Kal maa agar ghar per aae kafan mera
Kalma parh kar jism ho dafan mera
Aabe zam zam chirakdein chaadar pe
Aansu tere giren qabar pe na
Kal maa agar ghar per aae kafan mera
Kalma parh kar jism ho dafan mera
Sach pe marna jihaad, shahaadat hai
Aansu tere giren qabar pe na
Jihad se yaad ai ek cheez mujhe
Kya mere hare jhande se takleef tujhe
Agar mulk dekh ke bole ghaleez mujhe
Tou tu lage hindustani bhau mareez mujhe
Zameen se mujhe kisi ke masla nahi
Pala bara pak me haath me asla nahi
Hasna nahi per bjp ke tees crore
Ka ghulaam chela arnab ghoswami
Smjhta nahi kyun koi? Dehshat gardon ka mulk nahi koi
Peshawar me kitni maaen wo roin, mere mulk ko gaaliyan na do koi
Hitler bhi tou azaab tha yahoodion pe
Kya poora germany bhara dehshatgardon se
Hame bhi wehshat hoti hai jab bomb phate
Dehshatgardon ki roohen naraz jismon se
Awaaz neeche, hum ek zameen ke
Nazara soch zabardast rangeen yeh
Nabi pak bethe hon sath nanak ram ke
Kya ek doosre pe uthaate wo eenten
Theek hai bhae, nadir yeh munaafiq hai
Bigaaren loag wo tu bole nalaik main
Wo khule aam karen gunah huh tu bole zaati hai
Iqral ul hassan jurm kholne ka aashiq main
Fahaashi mein paisa ziada yeh bhaunken
Kamaun main islam ke naam pe
Rabb dil me tabhi wo zabaan me
Tarjuma parha nahi quran ka jawaan ne!
Na quaid ka pakistan yeh
Rss khagai gandhi ka hindustan yeh
Jo sach bole hind me wo pro pakistan hai
Jo pak me sach bole wo rabb ko qurbaan hai
Kal maa agar ghar per aae kafan mera
Kalma parh kar jism ho dafan mera
Aabe zam zam chirakdein chaadar pe
Aansu tere giren qabar pe na
Kal maa agar ghar per aae kafan mera
Kalma parh kar jism ho dafan mera
Sach pe marna jihaad, shahaadat hai
Aansu tere giren qabar pe na
Kal maa agar ghar per aae kafan mera
Kalma parh kar jism ho dafan mera
Sach pe marna jihaad, shahaadat hai
Aansu tere giren qabar pe na