menu-iconlogo
logo

Toota Ghar

logo
가사
Ek waqt tha jab humara bada sa ghar tha

Naukar aur gaadiyan laakho ka tha mahana kharcha

Awaara sa tha mai hogi umar 16 ya 17

Ek ooncha sa bada tv tha jo mere kadd ka

Mai wahi awaara baccha tha jo chidhta tha school se

Schoolo ne bigada sikhaye gunah fuzool se

Mai wahi awaara beta jisko thappad pade munh pe

Tujhe tameez kyun nahi?, ab ye mere se puchte

(Hahaha)

Tujhe tamzeez kyun nahi?, ab ye mere se puchte

Khair, fir ek waqt aaya chote se ghar me hum aa gaye the

Naukar ilaake ke saare humare ha humsaye the

18 se kamara kyunki paise ghar me kam aa rahe the

Aur tv chodo ghar me kuch kapde bus paas humare the

Par mai wohi junooni ladka, jo ladta raha mushkilo haalato sе

Haalato se sikhaya shukar karna nashukre insaano me

Mai wahi muzrim allah ka

Jo mana kar kar kе roye namazo me

Tu zinda kar de zameer khat mere deewano ke

Mai gaano me kholun dil ke raaz gehre

Rou allah ki gaud me jab koi na paas mere

Aankhein sehlaab toh meri jaa namaz lehre

Rabb ko mohobbat mujhse, khud uske alfaaz kehre

Ya rabb mujhe bacha, mai doob raha hun

Nikal kar fir se gunah me kud raha hun

Sabar de mujhe mai apno se rooth raha hun

Ghar ki tarah apne mai andar se toot raha hun

Jo aurat apni khubsurti numaish kare

Use zamana sara ye nanga kar deta hai

Jo aadmi apni daulat paisa numaish kare

Use zamana sara ye kangaal kar deta hai

Ye daur hai paiso ka, views ka, fame ka, reach ka

Koi upar jaaye toh usko apna neeche khinchta

Jao misaal apne bilal ki uthalo

Ya dekhlo wo bollywood adakaar aamir khan ko

Aao saare apne paiso ka darakht dikhau

Abe idher hi tha, kidher gaya?, kaha se lau?

Ab toote hue ghar me apne mai kis munh se jau

Sabko ye lagta hai ki paisa mai mufta kamau

Ghanto ghanto poora din kaam kar karke dar dimagh mera

Fir bhi kahilo ko lagta hai ki paiso ka koi baagh mera

Samaaj mera tab bhi mujh pe kal hi wakhra mizaz tera

Bhai haan badatameez mai koi na kal bus aaj mera

Ghar mera toot raha hai, gir rahi hai keemat

Mere ghar ki lakdiyo me shehar ke dimak

Mai keh raha hun majdooro ko nayi lakdiya le aate hai

Jawaab de majdoor inke andar nahi himmat

Tapun jab dekhun mai bhikari naujawano ko

Kyun mai paisa dun in hatte katte hat haramo ko

Ghar me shehar ke keede wo

Kha gaye inke dimago ko

Mai toote hue ghar mai kaise daawat dun mehmaano ko

Hum sehri bistar me gunaah-e-kabira ke so rahe

Aalim se lekar zahil saare apne waade tod rahe

Shehar ke maa baap apni betiyon ke kaan me bol rahe

Hume nahi parwah tu nikah se pehle taange khol le

Maa baap apne beto ko bole inaam ghar laa de

Daulat se hum dono ka saara imaan badha de

Nadir jab likhe sach toh sabko hairaan kar daale

Aisa kya likhun mai jo hasenge jaan kar saare

Ye jo drama actresses ko dekhe tv me hum

Ye drame tak hi actresses beghairat minimum

Chalo in actresses ka social media dhundhe hum

Ye dekho inke nange jismo ka museum

Fir in jisam farosho ko ladkiyan stalk kare

Soche ke hum bhi ban sakti hai pakistaan ki modele

Fir dekha dekhi ghar ki behne industry daud pade

Aur wapis inko majboot ghar me aane se maut pade

Ghar musalmaan ke tode

Khabre failaake jhoothi

Shehar ki sadke lakeere toh, toh mai najoomi

Waha pe tode masjid

Yaha pe tode murti

Tu hara jhanda dekhe modi bhakt ko besakuni

Siyashi sikka ab bhi masle mere mulk me

Sirf naam ke musalmaan reh gaye pak aur turk me

Madad bete ginwaye ye maa baap ko jo buzurg se

Shehar ke toote ghar me, reh rahe hai jhoote murde

Toota Ghar - CHEN-K - 가사 & 커버