Hmm…
Hmm…
Bekhayali mein bhi tera hi khayal aaye
Kyun bichhadna hai zaroori ye sawaal aaye
Teri nazdeekiyon ki khushi behisaab thi
Hisse mein faasle bhi tere bemisaal aaye
Main jo tumse door hoon
Kyun door main rahoon
Tera guroor hoon
Aa tu faasla mita
Tu khwaab sa mila
Kyun khwaab tod doon
OooooOooo…
Bekhayali mein bhi tera hi khayal aaye
Kyun judai de gya tu ye sawaal aaye
Thoda sa mei kafa ho gya apne aap se
Thoda sa tujhpe bhi bewajah hi malaal aaye
Raatein dengi bata
Neendon mein teri hi baat hai
Bhoolun kaise tujhe
Tu toh khayalon mein saath hai
Bekhayali mein bhi tera hi khayal aaye
Kyun bichhadna hai zaroori ye sawaal aaye
Heheehee.. WooWooohoho..
Nazron ke aage, Har ek manzar
Ret ki tarah, Bikhar raha hai
Dard tumhara, Badan mein mere
Zeher ki tarah, Utar raha hai
Nazron ke aage, Har ek manzar
Ret ki tarah, Bikhar raha hai
Dard tumhara, Badan mein mere
Zeher ki tarah, Utar raha hai