menu-iconlogo
huatong
huatong
avatar

Kitni Baatein

Hariharan/Sadhana Sargamhuatong
schadwick6105huatong
가사
기록
Kitni baatein yaad aati hai

Tasveerein si ban jaati hain

Main kaise inhein bhooloon

Dil ko kya samjhaun

Kitni baatein kehne ki hai

Honton par jo sehmi si hai

Ek roz inhein sun lo

Kyun aise gum sum ho

Kyun poori ho na paayi daastaan

Kaise aayi hai aisi dooriyaan

Dono ke dilon mein chhupa hai

Jo Ek anjaana sa gham

Kya ho paayega woh kam

Koyi kya kahe

Dono ne kabhi zindagi ke

Ek mod pe bhi jo paayi

Hai kaisi woh tanhaai

Koyi kya kahe

Kitna viraan hai ye sama

Saanson mein jaise

ghulta hai dhuwan

Kaise aayi hai aisi dooriyaan.

Kitni baatein kehne ki hai

Honton par jo sehmi si hai

Ek roz inhein sun lo

Kyun aise gum sum ho

Kitni baatein yaad aati hai

Tasveerein si ban jaati hain

Main kaise inhein bhooloon

Dil ko kya samjhaun

Hariharan/Sadhana Sargam의 다른 작품

모두 보기logo

추천 내용