menu-iconlogo
huatong
huatong
가사
기록
Ab dil bhari hai

Seenay mein kayy hein sawal

Phir rooh khali hai

Mat pucho kya hai haal

Adhe adhe se chand pay

Pura kyun ek daag hai

Sad manzar mein hai

Magar phir bhi kyun firaag hai

Mujhe khud mein hi khud ki talash hai

Mujhe khud mein hi khud ki talash hai

Talaash hai zindagi ki

Jeeney say phr dil-lagi ki

Teri hi bandagi ki

Adat mujhko lag chuki thi

Ehsaas-e-kamtari

Nazrey kiukay bhar chuki thi

Apno ka saahaara

Par mehez wou bus sympathy thi

Iss tootay dil k tukro ko kese jama kre

Bhari jholi khaali dard kese bayaan kre

Behiss zamana, kiya yeh sharam kre, haya kre

Chupay kitnay gham ab yeh lafz inko bayaa kre

Paas nahi tu, mujhe lagey sab door kiu

Khaas tha wou saath, ya mai cheez wou fuzool hu

Aj ki yeh raat teri maang pr mehdood yu

Ehsaas ki yeh baat par houta hai mehsoos kiu

Waqt ki zanjeerou mai

Mai khush hu bus tasveero mai

Itna hi tha sath jitna haath ki lakeerou mai

Bus khud ki hai talaash tou mashoori hogayi peero mai

Kuch chora hi nahi tou ab kiya khaak mujhse cheenougay

Ab dil bhari hai

Seenay mein kayy hein sawal

Phir rooh khali hai

Mat pucho kya hai haal

Adhe adhe se chand pay

Pura kyun еk daag hai

Sad manzar mein hai

Magar phir bhi kyun firaag hai

Mujhe khud mein hi khud ki talash hai

Mujhе khud mein hi khud ki talash hai

Ye kesi zindagi k sab mila bus tu nahi,jabke

Sirf manga tujhe tw karun gila mein kiun nahi

Wohi pe atka bikhra teri meri duriyon se

Sab se dur betha gaanay likhraha mein studio mein

Hum phirse ajnabi tw abtk phasay kiun wahi

Badla zamana jaana par mein ab tk hun wahi

Ab meri khaamiyan bhi gini jaati khoobiyon mein

Dhakkay khaatay they kal tk aaj kaam karey moody hokey

Aagay meri aankhon ke, sapnay guzri hui yaadon ke

Heeray jesi chamak hai is qalam main khud koyla hoke

Ab tk kiun mjhko dikhay wohi sab phir mere khwaabon mein

Le mjhko tu baahon mein, kaafi dur dooba hun mein

Ginti tk ab bhool chuka kitni dafa toota hun mein

Ab aati hasi kabhi pyaar ka koi naam le tw

Ab tk taaza zakham jaaney de dabaade maamley ko

Aana tum fursat se kabhi dil se dil ki baat karne

Kehne ko tw kaafi kuch pr hotay chup jab saamnay wo

Beshak tum jaan lelo par na karna or ab der

Mt jhootay aasray do, mein nai sakta ab ye jheil

Kehti mjhe chahti, kabhi deti mjhko gaali

Mjhe pagal lgti saali uskeliye tw jese hai ye khel

Bholi si surat ke peeche jese chupi churail

Mein khud bhi bhoot tw adhoora mein tere bagair

Doodh ka nai dhula shayad tjhse ziyada bura tbhi

Tujhe chahta khudse ziyada kesay rakhun tjhse beir

Na paas waqt na rahay ye pehley jese din

Mjhe jeena sikhaa gai janeman ye dunya tere bin

Ankhon mein nami hai par kisi cheez ki kami nahi

Ab dekh teri jesi kitni bethin mjhe deke dil

Dekh aake haal mera, pesa deke pyaar lera

Han mein maan nai raha par ye nasha meri jaan lera

Gazab zindagi kidher se kahan le aiye hai ye

Aksar sochta jab dekhun khudko ainay mein

Ab dil bhari hai

Seenay mein kayy hein sawal

Phir rooh khali hai

Mat pucho kya hai haal

Adhe adhe se chand pay

Pura kyun ek daag hai

Sad manzar mein hai

Magar phir bhi kyun firaag hai

Mujhe khud mein hi khud ki talash hai

Mujhe khud mein hi khud ki talash hai

Jokhay/Danish Roomi/Shareh/Nabeel Akbar의 다른 작품

모두 보기logo