Khoya saath lagey khoya sab
Par ye aankhein kabhi royi nahi royi nahi
Uthaye jokhim humney rozz hi naye rozz hi naye
Jab thi khaane ko rozi roti nahi roti nahi
Mili izzat mili taakat
Par talaasha maine chain
Thoda jab na mila woh hi kahin kahin nahi
Khoja khud mein bhi aur khoja jag khoja jag
Khudki khaamiyaan par khoji nahi khoji nahi
Ye maaya ka hai moh hi sahi moh hi sahi
Ye maaya ka hai moh hi sahi moh hi sahi
Khoya pyaar ismein khoya sab khoya sab
Par ye aankhein kabhi royi nahi
Royi nahi
Kya hai sahi aur hai galat kya
Mujhe ni pata hai farak kya
Bas dekha apno ko sotey bhookey paet
Aur jaanta hota woh dard kya
Chukaaye jo sarr the karzey mere
Jo jeeta nahi main woh shart kya
Iss haar aur jeet ke beech mein
Rehta khauf mera aajae antt na
Dikhey bas kohra aagey
Lagey khudko hi kho raha main
Kya tha main pehle aur kya bann gaya main
Karein ye izzat meri ya karein ye daya
Mujhko dekh ke choti pey huin khada main
Par jaa rahi zameen ye pairon ke neechey sey fisal
Iss maaya ke jaal sey chahu ke jaau main nikal
Rehti hai apno ki jaano ki fikar
Neendein haraam
Karu main shaant kaise sarr mein chalti aawaazon ko
Hone ni deta kabhi namm inn aankhon ko
Par kaise badlu main abb inn haalaaton ko
Karne hain poorey kuch adhoorey khwaabon ko
Kaise chalau main waapas sey thami unn saanson ko
Khoya saath lagey khoya sab
Par ye aankhein kabhi royi nahi royi nahi
Uthaye jokhim humney rozz hi naye rozz hi naye
Jab thi khaane ko rozi roti nahi roti nahi
Mili izzat mili taakat
Par talaasha maine chain
Thoda jab na mila woh hi kahin kahin nahi
Khoja khud mein bhi aur khoja jag khoja jag
Khudki khaamiyaan par khoji nahi khoji nahi
Ye maaya ka hai moh hi sahi moh hi sahi
Ye maaya ka hai moh hi sahi moh hi sahi
Khoya pyaar ismein khoya sab khoya sab
Par ye aankhein kabhi royi nahi
Royi nahi
Mujhe lagta tha hu mai shaapit
Fir pata chala ke main khud hi hu shraap
Kitne jo khadey khilaaf
Hai meri sangat kharaab
Tha mera mattha kharaab
Jo kheecha tujhe bhi iss daldal mein
Khatron sey bharey iss jungle mein
Hai mera kasoor
Jaane diya tujhe ghar wapis akele uss raat
Ye jaanke bhi ki ho rahi gun teri jam
Aur dushman ney kardiya jung ka elaan
Par na tha jaanta main hogi meri kismat itni kharaab
Ke usi din teri jaan ke aaengay peechhey woh
Kartey vaar bhi jo peechhey sey
Geedad ye puntar gali ke the
Jabsey hui zindagi behtar apni
Saaley jaltey tabhi sey the
Aaya bhabhi ka call tu gharpey aaya ni laut ke
Aa paata jab tak samajh ke hua kya hai
Tab tak ho chuki thi bohot daer
Usney toh dey bhi di maafi
Par na kar paata main khud hi ko maaf
Toot gaya andar sey mai bhi
Jab haathon mein mere toddi tuney saans
Khoya saath lagey khoya sab
Par ye aankhein kabhi royi nahi royi nahi
Uthaye jokhim humney rozz hi naye rozz hi naye
Jab thi khaane ko rozi roti nahi roti nahi
Mili izzat mili taakat
Par talaasha maine chain
Thoda jab na mila woh hi kahin kahin nahi
Khoja khud mein bhi aur khoja jag khoja jag
Khudki khaamiyaan par khoji nahi khoji nahi
Ye maaya ka hai moh hi sahi moh hi sahi
Ye maaya ka hai moh hi sahi moh hi sahi
Khoya pyaar ismein khoya sab khoya sab
Par ye aankhein kabhi royi nahi
Royi nahi
Khoya saath lagey khoya sab
Par ye aankhein kabhi royi nahi
Uthaye jokhim humney rozz hi naye
Jab thi khaane ko rozi roti nahi
Mili izzat mili taakat
Par talaasha maine chain
Thoda jab na mila woh hai kahin
Khoja khud mein bhi aur khoja jag
Khudki khaamiyaan par khoji nahi hoo