menu-iconlogo
logo

Tujhe Jivan Ki Dor Se

logo
가사
Tujhe jivan ki dor se, baadh liyaa hai, baadh liyaa hai

Tere zulmo-sitam, sar aankho par

Maine badle me pyaar ke, pyaar diyaa hai

Pyaar diyaa hai

Teri khushiyaan aur gam, sar aankho par

Tujhe jivan ki dor se, baadh liyaa hai, baadh liyaa hai

Tere zulmo-sitam, sar aankho par

Apsra koi aaye to dekhun nahi

Koi bahkaaye haske to bahkun nahi

Apsra koi aaye to dekhun nahi

Koi bahkaaye haske to bahkun nahi

Tore matavare naino ne, jaadu kiyaa

O tore matavare naino ne, jaadu kiyaa

Teri ulfat sanam sar aankho par

Maine badle me pyaar ke, pyaar diyaa hai

Pyaar diyaa hai

Teri khushiyaan aur gam, sar aankho par

Mere jivan ki anmit kahaani hai tu

Meri taqadir aur zindgaani hai tu

Mere jivan ki anmit kahaani hai tu

Meri taqadir aur zindgaani hai tu

Liye firate hai sabse chhupaaye hue

O liye firate hai sabse chhupaaye hue

Teri tasavir hum sar aankho par

Tujhe jivan ki dor se, baadh liyaa hai, baadh liyaa hai

Tere zulmo-sitam, sar aankho par

Chand suraj bhi hai teri parchhaiyaan

Tujhse roshan hui dil ki gehraaiyaan

Chand suraj bhi hai teri parchhaiyaan

Tujhse roshan hui dil ki gehraaiyaan

Tere chehre ki jhilmil se manjil mili

O tere chehre ki jhilmil se manjil mili

Aisi pyaari punam sar aankho par

Maine badle me pyaar ke, pyaar diyaa hai

Pyaar diyaa hai

Teri khushiyaan aur gam, sar aankho par

Tujhe jivan ki dor se, baadh liyaa hai, baadh liyaa hai

Tere zulmo-sitam, sar aankho par

Tujhe jivan ki dor se, baadh liyaa hai, baadh liyaa hai

Tere zulmo-sitam, sar aankho par

Tujhe Jivan Ki Dor Se - Lata Mangeshkar/Mohammed Rafi/Hasrat Jaipuri - 가사 & 커버