menu-iconlogo
logo

Maaye

logo
가사
Teri zameen se hum sar utha ke chale

Humein has ke vida kar, maa

Laal hain hum tere, yaad karna humein

Dhol-taashe baja kar, maa

O maaye, teri mitti bulaye to

Ye duniya chhod ke aa jaayein

Tu jo aawaz lagaye to

Tiranga odh ke aa jaayein

O maaye, tere kaam nahi aayein

To phir bekaar jawani hai

Bahayein khoon teri khatir

Jitna Ganga me paani hai, maa

Agar jaan jaati hai to jaye, jaaye re, maaye

Kabhi teri aan na jaaye re

Jala denge apni hum chitayein tujhpe, o maaye

Kabhi koi aanch na aaye re

Tu mere liye, main tere liye

Tere hi rahein, marein ya jiyein

Tere hi naghme gaayein jaate-jaate, maaye re

O maaye, teri mitti bulaye to

Ye duniya chhod ke aa jaayein

Tu jo aawaz lagaye to

Tiranga odh ke aa jaayein, maa

Zara dheere-dheere loriyaan gaa

Jaise teri god me aayi hai maa

Aayegi aisi meethi si neend kahan

Qadmon me tere hum hue hain fana

Maayi, teri mehar jo humko chuna

Hoti hai har ek wardi shaheed kahan

Maaye, ye duaa to har sipahi rab se karta hai

Jaise hum mare hain desh par, yun kaun marta hai, haaye

Meri khusnaseebi hai yeh, maaye

Teri galiyon mein hawa meri raakh udaaye re

Tu mere liye, main tere liye

Tere hi rahein, marein ya jiyein

Tere hi naghme gaayein jaate-jaate, maaye re

O maaye, teri mitti bulaye to

Ye duniya chhod ke aa jaayein

Tu jo aawaz lagaye to

Tiranga odh ke aa jaayein

O maaye, tere kaam nahi aayein

To phir bekaar jawani hai

Bahayein khoon teri khatir

Jitna Ganga me paani hai, maa

Maaye - Manoj Muntashir/Tanishk Bagchi/B Praak - 가사 & 커버