Mere maula aao ke muddat hui hai
Sitam zaalimo ke uthaate uthaate
Mere maula aao ke muddat hui hai
Sitam zaalimo ke uthaate uthaate
Tere dushmano ki guzarti hai maula
Tere doston ko sataate sataate
Guzarti hai jaisi guzaarenge maula
Na haari hai himmat na haarenge maula
Sitam thak gaya hai hue kund khanjar
Lahoo momino ka bahaate bahaate
Kahin nahua matam kahin aahozaari
Safar karbala ka musalsal hai jaari
Jhuke jaa rahe hai zaeefon ke kaandhe
Jawaano ke laashe uthaate uthaate
Layeeno ne hum par mazaalim wo dhaaye
Jawan saal laashon pe laashon uthaaye
Chale hai shahadat ka sehra sajaaye
Wo shaadi ka sehra sajaate sajaate
Jo behne hai zindan to bhai nahi hai
Hai maa baap baakhi to bete nahi hai
Jo bete hai baakhi to saaya nahi hai
Jigar kaampta hai bataate bataate
Gharon se chalay thay jo purse ki haatir
Wo maare gaye raaston may musaafir
Kabhi jaate jaate juloose aza may
Kabhi mashad o karbala jaate jaate