menu-iconlogo
logo

Sach Bolta Hoon Main

logo
가사
Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main

Ye chiz laa-jawab hai...

Ye chiz laa-jawab hai, sach bolta hoon main

Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main

Gin kar piyun main jam to hota nahin nasha

Mera alag hisaab hai

Mera alag hisaab hai, sach bolta hoon main

Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main

Saaqi, yaqeen naa aaye to gardan jhuka ke dekh

Shishe mein maahtaab hai...

Shishe mein maahtaab hai, sach bolta hoon main

Phir haath mein sharaab hai, sach bolta hoon main

Haathon mein ek jam hai, honton pe ik ghazal

Baaqi khyaal-o-khwaab hain...

Baaqi khyaal-o-khwaab hain, sach bolta hoon main