Teri taaqat hai, teri mutthi mein jaadu hai
Tu aage badh jaa re, bande (badh jaa re, bande)
Maana ke saara zamana taane tujhko maare
Per tu bhid jaa re, bande (bhid jaa re, bande)
Harsat teri poori hogi
Jam ke takraane se ab na jaana dar
Manzil teri aage khadi
Paanv thamne na paayein raste bhar
Haan, main ladega, toofan bhi darega
Had paar main karega, haar pachti naa re
Kaafi serious, raftaar hai furious
Maidan-e-jung mein dushman gira de
Todunga aaj main qismat ki bediyaan
Todunga aisi ki dukh jaayeingi ediyaan
Main ladega haar se tab tak
Jab tak na milegi jeet ki halla sheriyaan
Ho, mast-maula banke ab tu tar jaa kinaare, sahil pukaare
Leke aaya hai tu apni aankhon mein toofan
Peeche na ab tu hat jaana, tod de usko, jo lalkaare
Teri mehnat dekhne aaye sab chaand aur taare yahan
O, chhoti-chhoti laptein bhi banengi angaare
Bujha na paayengi inhein nadiyon ki dhaarein
Bhar mutthi mein saara le jahan
Ab na tu rukna, tu der laga re
Duniya se saari tera naam pukaare
Taaqat teri dekhe aasmaa
Koshish teri ho behtareen
Chahe kaanton se bhari hogi dagar
Nakaami se jhukna nahi
Paa he lega tu fir se apna shikhar
Lad jaa, lad jaa, bandeya
Bandeya, haan, haan, haan, haan, haan
Bandeya