menu-iconlogo
logo

Doli Mein Bithai Ke

logo
가사
ho raamaa reee

hoo raamaa

doli mein bithai ke kahaar

doli mein bithai ke kahaar

laaye mohe sajanaa ke dwaar

oo doli mein bithai ke kahaar

beete din khushiyon ke chaar

deke dukh man ko hazaar

oo doli mein bithai ke kahaar

mar ke nikalnaa thaa oo

mar ke nikalnaa tha

ghar se saanvariyaa ke

jite jee niklna pada

oo phoolon jaise paanvon mein

pad gaye chhaale re

kaanton pe jo chalanaa pada

patajhar oo ban gayi patajhar

o ban gayi patajhar

bairan bahaar

doli mein bithai ke kahaar

jitne hain aansu meri oo

jitne hain aansu meri

ankhiyon mein utnaa

nadiyaa mein naahin re neer

oo likhne waale tune

likh di ye kaisi meri

tooti nayyaa jaisi taqadeer

uthaa maajhi oo maajhi

uthaa maajhi

o maajhi re uthaa maajhi

uthe patavaar

doli mein bithai ke kahaar

tootaa pahale mere man oo

tootaa pahale man ab

choodiyaan tooti

huye saare sapane yun choor

kaisaa hua dhokha aayaa

pawan kaa jhonkaa

mit gayaa mera sindur

lut gaye o raamaa lut gaye

o raamaa mere lut gaye

solah shringaar

doli mein bithai ke kahaar

laaye mohe sajanaa ke dwaar

oo doli mein bithai ke kahaar

Doli Mein Bithai Ke - S. D. Burman - 가사 & 커버