Shah e madina suno
Ilteja khuda ke liye
Karam ho mujh pe
Habeeb e khuda
Khuda ke liye
Huzoor gunchha e
Umeed ab to khil jaaye
Tumhare dar ka gada hun
Toh bheekh mil jaaye
Bhar do jholi
Bhar do jholi meri ya muhammad
Laut kar main na jaunga khali
Bhar do jholi meri ya muhammad
Laut kar main na jaunga khali
Bhar do jholi meri ya muhammad
Laut kar main na jaunga khali
Kuchh navasoon
Kuch navasoon ka sadka ataa ho
Banke aaya hun dar pe savaali
Bhar do jholi meri tajedar e madina
Laut kar main na jaunga khali
Tumhare aastane se zamaana kya nahi paata
Tumhare aastane se zamaana kya nahi paata
Koi bhi dar se khali maangane wala nahi jaata
Bhar do jholi
Bhar do jholi meri ya muhammad
Laut kar main na jaunga khali
Bhar do jholi meri sarkaar e madina
Lot kar main na jaunga khali
Hai mukhalif zamaana kidhar jaaye hum
Halat e be kasi kisko dikhlae hum
Hum tumhare bhikhari hain ya mustafa
Hum tumhare bhikhari hain ya mustafa
Kiske aage bhala hath failaayein hum
Bhar do jholi
Bhar do jholi meri ya muhammad
Laut kar main na jaunga khali
Bhar do jholi meri sarkaar e madina
Lot kar main na jaunga khali
Tum zamaane ke mukhtar ho ya nabi
Be kason ke madadgar ho ya nabi
Sabki sunte ho apne ho ya gair ho
Sabki sunte ho apne ho ya gair ho
Tum garibon ke gamkhaar ho ya nabi
Bhar do jholi
Bhar do jholi meri ya muhammad
Laut kar main na jaaunga khali
Bhar do jholi meri tajedar e madina
Laut kar main na jaunga khali