menu-iconlogo
huatong
huatong
가사
기록
Meri nazron ko tune sapna dikhaya

Jagaya mujhe raaton mein

Dabi dabi saanson mein khushboo le aaya

Kabhi jo na thi raahon mein

Aisa mera dil kabhi na tha

Jaisa yeh ho gaya

Karamaat teri hai yeh

Bas ek baar tumko dekhne ko tarsun

Maano na kehna mera

Main toh bas ek baar

tumko dekhne ko tarsun

Kehta hai dil yeh mera

Aate aate tum le aana be mausam ki

Kuch baarishein yahan

Aadhe aadhe bheege dono hon phir apni

Kuch khwaishein riha

Aisa mera dil kabhi na tha

Hairan bewajah

Saugaat teri hai yeh

Bas ek baar tumko dekhne ko tarsun

Maano na kehna mera

Haan bas ek baar tumko dekhne ko tarsun

Kehta hai dil yeh mera

Baithe baithe soche tumko

Do ankhein ye bunti kahaniyaan

Haste haste baatein karte

Ik dooje se khwabon ke darmiyaan

Aisa mera dil kabhi na tha

Iss baar ho gaya

Khurafat teri hai yeh

Bas ek baar tumko dekhne ko tarsun

Maano na kehna mera

Haan bas ek baar tumko dekhne ko tarsun

Kehta hai dil yeh mera

Main toh bas ek baar

tumko dekhne ko tarsun

Maano na kehna mera

Soham Naik/ SANJEEDA SHEIKH/Aamir Ali의 다른 작품

모두 보기logo

추천 내용