menu-iconlogo
logo

Raat Dhallay

logo
가사
Lafzon me apne chupaa ke rakh lu

Geeton me apne sajaa ke rakh lu

Mere labon pe tu hi ghazzal

Tere bina me adhoori nazam

Lautay nahi ho ab tak ghar ko

Tum bin kese raat dhallay?

Darwazay pe nahi koi dastak

Tum bin kese raat dhallay?

Yehi shikwa

Yehi gilaa hai tujhe ke

Ke ziddi me

Par ye shamma na bujhe

Aur zidd bhi to meri sirf teri hi khaatir

Aik mujhse tu waakif

Aik mujhse nawaakif

Me chor chuka jhooti umeedon pe rehna

Me kharaa taiyaar ke me sehlun jo sehnaa

Mere seene me himmat abhi bhi hai baaqi

Me dunya se lar raha hun jangain bhi kaafi

Me tootunga nai jese patta khizaan me

Me wo phool zindaa jo registaan me

Han me dunyaa se kaafi munfarid

Na me murda khor na me jhund me koi gidh

Na rind na nashay me

Me chupta nai khof me

Me aankhon me aankhain daale milunga moat se

Ke bol, karke dikhaa tu judaa ab

Hamaara muhaaida karega Khudaa ab

Kyunke wohi jisne banae hain ye faaslay

Ye tere mere jisne alag rakhe kaaflay

Saath hi chale the par mukhtalif simt me

Waqt guzarta ham pal rahe gintay

Mintay kar kar me parwadigaar ki

Ke kuch lamho ki to mohlat udhaar de

Par maafi ke me wo nahi jo waqt ko chalaata

Jo hota is laiq to me ghar loat aata

Lautay nahi ho ab tak ghar ko

Tum bin kese raat dhallay?

Darwazay pe nahi koi dastak

Tum bin kese raat dhallay?

Meri simt in logon se mukhtalif

Ham wo sitaaray jo ke girtay nai

Tum dhoondo to aas paas mere jese hain kam kam

Me kalaa ke pyaason ke liye jese zam zam

Me kinaara kash is qul kainaat se

Me aadam bezaar hua apni hi zaat se

Ye baat mere baad jaake teri samajh aani

Ke kese toofaan me bhi chup tha Durrani

Kese wo ghar se hamesha hi dur raha

Kese usse apna hi aap khara ghoor raha

Qallam toota hua kheenchun pathar pe lakeerain

Me azaad panchi tu tor zanjeerain

Jal gaya gaon par me haar ni maana

Itna asaa nai meri hasti mitaana

Zamaana laga hua tum bhi karlo koshish

Tum dekh nahi sak rahe ke moosa ya moses

Me ghar se hoon door mera naam musaafir

Me kuch ka maseeha me baqio ka kaaafir

Me Haasil la Haasil ke farq se bhi waakif

Me saadiq aur haasid ke bhaap lu maqaasid

Jaanta hun aap sab raah meri dekhain par

Ghar nahi aa paunga ke khaali hain jaibain

Jo bhi kamaaya tha wo sab hi lutaa chukka

Lafz mere paas the wo sab ko sunaa chukka

Aaunga lekin rukaawatain giraa ke

Uljhi jo dorain hain unko suljhaa ke

Ye waada hai mera dar pe dunga me das tak

To rakhna yaqeen intezaar karna tab tak

Me waaday ka pakka ye tu bhi to jaanta

Me raahain bhatakta par loat ke aata

Me karta hun waada

Yaqeen rakh!

Lautay nahi ho ab tak ghar ko

Tum bin kese raat dhallay?

Darwazay pe nahi koi dastak

Tum bin kese raat dhallay?